Aaj Jane Ki Zid Na Karo Lyrics – Farida Khanum

 
 

Aaj Jane Ki Zid Na Karo Lyrics:

 

Aaj jaane ki zidd na karo
Yoonhi pahlu mein baiṭhe raho
Yoonhi pahlu mein baiṭhe raho
Aaj jaane ki zidd na karo
 
Haaye mar jaaen ge ham to luṭ jaaen ge
Aisi baaten kiya na karo
Aaj jaane ki zidd na karo
 
Tum hi socho zara kyoon na roken tumhen
Jaan jaati hai jab uṭh ke jaate ho tum
Jaan jaati hai jab uṭh ke jaate ho tum
Tum ko apni qasam jaan-i jaan
Baat itni miri maan lo
Aaj jaane ki zidd na karo
 
Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
Chand ghaṛiyaan yahi hain jo aazaad hain
Chand ghaṛiyaan yahi hain jo aazaad hain
In ko kho kar miri jaan-i jaan
Umr bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zidd na karo
Aaj jaane ki zidd na karo