Kali Kali Zulfon Lyrics is a Urdu song released in (1990) from the Album ‘Shahen-Shah’. The song was sung by Nusrat Fateh Ali Khan. Kali Kali Zulfon Song Lyrics are penned by Nusrat Fateh Ali Khan and the song label is OSA.
Song Credits:
Album | Shahen-Shah |
Singer | Nusrat Fateh Ali Khan |
Songwriter | Nusrat Fateh Ali Khan |
Label | OSA |
Kali Kali Zulfon Lyrics:
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Aray kia husn walo se mohabbat
Hamai maaloom hai anjaam e ulfat
Tumhai achi tarha ham jaante hain
Karo ham se na tum esi shararat
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Na cherho hamein ham satae huay hain
Boht zakhm seenay pe khae huay hain
Sitamgar ho tm khoob pehchaante hain
Tunhari aadaaon ko hum jaanty hain
Daghabaaz ho tum sitam dhaanay walay
Faraib e mohabbat mai uljhaane waly
Yai rangi kahani tumhi ko mubarik
Tumhari jawani tumhi ko mubarik
Hamari taraf se nigaahein hata lo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Lubhaun na gil husn ki dilkashi se
Jo kehna hai keh do magr door hi se
Yai naaz o ada ham na dekhenge, dekho
Karo baat lekin bari saadgi se
Kali kali zulfo ke phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Sambhalo zra apna aanchal gulaabi
Dikhao na hans hans k aankhein shrabi
Salook inka dunya mai acha nahe hai
Haseenon pe hamko bharosa nahe hai
Uthatay hain nazrein tw girti hai bijli
Ada jo bhi nikli qayamat hi nikli
Jahan tumny chehre se aanchal hataya
Wohin ehl e dil ko tamasha banaya
Jahan tumny chehre se aanchal hataya
Wohin ehl e dil ko tamasha banaya
Khuda k liye ham pe doorain na daalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Sambhly tw yai aashiq ko sambhlny ne nahe deti
Dhans le tw yai paaon badalny nahe deti
Ham jaante hain inki adaaon ko yai nagin
Insaan ko uljhan se nikalny nahe deti hamein
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Ulfat k buray haal se dar lgta hai
Har morh pe iss jaal se dar lgta hai
Hum se isy do chaar qadam door hi rakho
Zulfo k siyah jaal se darr lgta hai
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Sada waar karte hou mere jafa ka
Bahatay hou tm khoon ehl e wafa ka
Yai nagin se zulfain- Yai zehreeli nazrain
Woh paani na mangein- Yeh jis ko bhi dhans lein
Woh lut jae jo tm sy dil ko lgaye
Phiray hasrato ka janaza uthaye
Hai maloom hamko tumari haqeeqat
Mohabbat k parde se karte hou nafrat
Kahin aur jaa k adaaen uchalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Dunya k haseenon se bhalayi nahi milti
Ulfat mai ksi ko bhi rahaayi nahe milti
Zulfo mai na uljhaao khuda k liye hmko
Iss qaid se aashiq ko rahaayi nahe milti
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Yai jhooti numaish- Yai jhooti banawat
Faraib e nazar hai- Nazar ki lagawat
Yai bismil se gaisu- Yai aariz gulaabi
Zamanay mai laenge ek din kharaabi
Fanaa ham ko kar de na yai muskurana
Adaa kaafiraana chalan zaalimaana
Dikhao na ye ishwa o naaz ham ko
Sikhao na ulfat k andaaz ham ko
Ksi aur par zulf ka jaal dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein Zinda rehne do ae husn walon
Jisko chaahte hou loot lete hou
Tum kisi ka bhala nahe karte
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Ksi ki jaan gayi aap ki ada thehri
Kali kali zulfo k phande na dalo
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Hamein zinda rehne do ae husn walon
Hamein zinda rehne do ae husn walo