Khudaya Khair Lyrics from Billu Barber Bollywood movie released in (2008). The song was sung by Akriti Kakkar, Monali Thakur, and Soham Chakraborty. Starring Shah Rukh Khan, Irrfan Khan, and Lara Dutta. Khudaya Khair Song Lyrics are penned by Gulzar and the song label is T-Series. While the music was composed by Pritam Chakraborty.
Song Credits:
Movie | Billu Barber (2008) |
Singer(s) | Akriti Kakkar, Monali Thakur & Soham Chakraborty |
Songwriter | Gulzar |
Music | Pritam Chakraborty |
Cast | Shah Rukh Khan, Irrfan Khan & Lara Dutta |
Label | T-Series |
Khudaya Khair Lyrics:
Raaton raat taara koyi
Chaand ya sitara koyi
Gire to utha lena
O suniyo re taara chamkeela hoga
Chaand sharmeela hoga
Nath mein laga lena
Raaton raat taara koyi
Chaand ya sitara koyi
Gire to utha lena
O suniyo re taara chamkeela hoga
Chaand sharmeela hoga
Nath mein laga lena
Zara si saanwri hai woh
Zara si baanwri hai woh
Woh surme ki tarah meri
Aankhon mein hi rehti hai
Subah ke khwaab se udayi hai
Palkon ke neeche chhupayi hai
Maano na maano tum
Sote sote khwaabon mein bhi
Khwaab dikhati hai
Maano na maano tum
Pari hai woh pari ki kahaniyan sunati hai
Khudaya khair, khudaya khair
Khudaya khair, khudaya khair
Raaton raat taara koyi
Chaand ya sitara koyi
Gire to utha lena
O suniyo re taara chamkeela hoga
Chaand sharmeela hoga
Nath mein laga lena
Tu hawa, main zameen
Tu jahan, main wahin
Jab ude mujhe leke kyon udti nahi
Tu ghata, main zameen
Tu kahin, main kahin
Kyun kabhi mujhe leke barasti nahi
Zara sa saanwra hai woh
Zara sa baanwra hai woh
Woh surme ki tarah meri
Aankhon mein hi rehta hai
Subah ke khwaab se udayi hai
Palkon ke neeche chhupayi hai
Maano na maano tum
Sote sote khwaabon mein bhi
Khwaab dikhati hai
Maano na maano tum
Pari hai woh pari ki kahaniyan sunati hai
Khudaya khair, khudaya khair
Khudaya khair, khudaya khair
Jab daant mein ungli dabaye
Ya ungli pe latt liptaye
Baadal yeh nichadta jaaye ho
Kuchh karke woh baat ko taale
Jab maathe pe woh bal daale
Amber yeh sukadta jaaye ho
Woh jab nakhoon kutarti hai
To chanda ghatne lagta hai
Woh paani par kadam rakhe
Sagar bhi hat jaata hai
Subah ke khwaab se udayi hai
Palkon ke neeche chhupayi hai
Maano na maano tum
Sote sote khwaabon mein bhi
Khwaab dikhati hai
Maano na maano tum
Pari hai woh pari ki kahaniyan sunati hai
Khudaya khair, khudaya khair
Khudaya khair, khudaya khair