Yeh Dil Tum Bin Lyrics – Izzat

 
 
Yeh Dil Tum Bin Lyrics from Izzat Bollywood movie released in (1968). The song was sung by Mohammed Rafi and Lata Mangeshkar. Starring Dharmendra, Tanuja, and Jayalalitha. Yeh Dil Tum Bin Song Lyrics are penned by Sahir Ludhianvi and the song label is Saregama. While the music was composed by Laxmikant-Pyarelal.
 

Song Credits:

Movie Izzat (1968)
Singer(s) Mohammed Rafi & Lata Mangeshkar
Songwriter Sahir Ludhianvi
Music Laxmikant-Pyarelal
Cast Dharmendra, Tanuja & Jayalalitha 
Label Saregama
 

Yeh Dil Tum Bin Lyrics:

 
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karein
Tasavvur mein koyi basta nahin
Hum kya karein
Tumhi keh do ab ae jaane wafa
Hum kya karein
 
Lute dil mein diya jalta nahin
Hum kya karein
 
Tumhi kah do ab aye jaane ada
Hum kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karein
Kisi ke dil mein bas ke dil ko
Tadpana nahi achchha
Nigahon ko chhalakte dekh ke
Chhup jaana nahi achchha
Ummeedon ke khile gulshan ko
Jhulsana nahi achchha
 
Humein tum bin koyi janchta nahin
Hum kya karein
Tumhi keh do ab ae jaane wafa
Hum kya karein
Lute dil mein diya jalta nahin
Hum kya karein
 
Mohabbat kar to lein lekin
Mohabbat raas aaye bhi
Mohabbat kar to lein lekin
Mohabbat raas aaye bhi
Dilon ko bohj lagte hain
Kabhi zulfon ke saaye bhi
Hazaron gham hain is duniya mein
Apne bhi paraye bhi
 
Mohabbat hi ka gham tanha nahin
Hum kya karein
Tumhi kah do ab aye jaane ada
Hum kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karein
 
Bujha do aag dil ki ya
Ise khul kar hawa dedo
Bujha do aag dil ki ya
Ise khul kar hawa dedo
Jo iska mol de paaye
Use apni wafa dedo
 
Tumhare dil mein kya hai
Bas humein itna pata dedo
Ke ab tanha safar kat’ta nahin
Hum kya karein
Lute dil mein diya jalta nahin
Hum kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karein