Zaroori Tha Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

 
Zaroori Tha Lyrics is a Urdu song released in (2014). The song was sung by Rahat Fateh Ali Khan. Starring Gauhar Khan, Kushal Tandon & Rahat Fateh Ali Khan. Zaroori Tha Song Lyrics are penned by Khalil ur Rehman and Sahir Ali Bagga and the song label is Rahat Fateh Ali Khan. While the music was composed by Rahat Fateh Ali Khan and Salman Ahmed.
 

Song Credits:

Singer Rahat Fateh Ali Khan
Songwriter(s) Khalil ur Rehman & Sahir Ali Bagga
Music Rahat Fateh Ali Khan & Salman Ahmed
Cast Gauhar Khan, Kushal Tandon & Rahat Fateh Ali Khan
Label Rahat Fateh Ali Khan
 

Zaroori Tha Lyrics:

 
 

Lafj Kitne Hi
Tere Pairon Se Lipte Honge

Tune Jab Aakhiri Khat
Mera Jalaya Hoga
Tune Jab Phool
Kitabon Se Nikale Honge

Dene Wala Bhi Tujhe
Yaad Toh Aaya Hoga

Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichadna Bhi Zaroori Tha

Zaroori Tha Ke Hum Dono
Tawaaf-E Arzoo Karte
Magar Phir Arzoo’on Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha

Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha

Batao Yaad Hai Tumko
Woh Jab Dil Ko Churaya Tha
Churayi Cheez Ko Tumne
Khuda Ka Ghar Banaya Tha

Woh Jab Kehte The Mera Naam
Tum Tasbeeh Mein Padhte Ho
Mohabbat Ki Namazo Ko Kaza
Karne Se Darte Ho

Magar Ab Yaad Aata Hai
Woh Baatein Thi Mehaz Baatein

Kahin Baaton Hi Baaton Mein
Mukarna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha

Wahin Hai Sooratein Apni
Wahin Main Hoon Wahin Tum Ho
Magar Khoya Hua Hoon Main
Magar Tum Bhi Kahin Gumm Ho

Mohabbat Mein Daga Ki Thi
Jo Kaafir The So Kaafir Hain
Mili Hain Manzilein Phir Bhi
Musafir The Musafir Hain

Tere Dil Ke Nikaale Hum
Kahan Bhatke Kahan Pahunche
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya
Bhatakna Bhi Zaroori Tha

Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichadna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono
Tawaef-E Arzoo Karte

Magar Phir Arzoo’on Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha